gham KHushi hasrat hawas ummid-o-yas
ġham ḳhushī hasrat havas ummīd-o-yās
zindagī hangāma-e-jazbāt hai
koī dil ko apne kis kis se bachā.e
har adā us shoḳh kī ik ghaat hai
tark-e-ulfat aur ham āshufta-sar
shaiḳh sāhab vāh-vā kyā baat hai
baḌh gayā kuchh aur bhī josh-e-junūñ
chāñdnī hai yā tumhārī ghaat hai
husn kī har baat ik afsāna hai
ishq kā afsāna bhī ik baat hai
phir bhaḌak uTThī hamāre dil kī aag
phir vahī ham haiñ vahī barsāt hai
aap kī har baat meñ hai ek baat
ai 'sa.ādat' ap kī kyā baat hai
gham KHushi hasrat hawas ummid-o-yas
zindagi hangama-e-jazbaat hai
koi dil ko apne kis kis se bachae
har ada us shoKH ki ek ghat hai
tark-e-ulfat aur hum aashufta-sar
shaiKH sahab wah-wa kya baat hai
baDh gaya kuchh aur bhi josh-e-junun
chandni hai ya tumhaari ghat hai
husn ki har baat ek afsana hai
ishq ka afsana bhi ek baat hai
phir bhaDak uTThi hamare dil ki aag
phir wahi hum hain wahi barsat hai
aap ki har baat mein hai ek baat
ai 'saadat' ap ki kya baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.