gham ki aaghosh mein pali hai abhi
ġham kī āġhosh meñ palī hai abhī
uljhī uljhī sī zindagī hai abhī
jaam par jaam pī rahā huuñ magar
mere hoñToñ ko tishnagī hai abhī
zindagī mere haq meñ tere baġhair
lamha lamha sadī sadī hai abhī
raushnī ban ke tum chale aao
ḳhāna-e-dil meñ tīrgī hai abhī
kab se huuñ apnī zindagī ke saath
aur vo mujh se ajnabī hai abhī
vaqt hai mujh ko dekhte jaao
merī āñkhoñ meñ zindagī hai abhī
gham ki aaghosh mein pali hai abhi
uljhi uljhi si zindagi hai abhi
jam par jam pi raha hun magar
mere honTon ko tishnagi hai abhi
zindagi mere haq mein tere baghair
lamha lamha sadi sadi hai abhi
raushni ban ke tum chale aao
KHana-e-dil mein tirgi hai abhi
kab se hun apni zindagi ke sath
aur wo mujh se ajnabi hai abhi
waqt hai mujh ko dekhte jao
meri aankhon mein zindagi hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.