gham ki ek kaifiyat nashat mein ho
ġham kī ik kaifiyat nashāt meñ ho
jo yahī kaifiyat hayāt meñ ho
dard se haath paañv shal ho jaa.eñ
dard yak-gūna saarī zaat meñ ho
phuul phal sab ke sab fanā ho jaa.eñ
sirf mausīqī Dāl-pāt meñ ho
har sitam mujh pe maiñ ravā rakkhūñ
merī hamdardī merī zaat meñ ho
ham bhī Dāleñ kisī pe ek nazar
koī baiThā hamārī ghaat meñ ho
ek lamha ḳhushī kā hāmil ho
garche takrār bāt-bāt meñ ho
tū jo jaa.e to is tarah ki kabhī
terā aanā bhī mumkināt meñ ho
gham ki ek kaifiyat nashat mein ho
jo yahi kaifiyat hayat mein ho
dard se hath panw shal ho jaen
dard yak-guna sari zat mein ho
phul phal sab ke sab fana ho jaen
sirf mausiqi Dal-pat mein ho
har sitam mujh pe main rawa rakkhun
meri hamdardi meri zat mein ho
hum bhi Dalen kisi pe ek nazar
koi baiTha hamari ghat mein ho
ek lamha KHushi ka hamil ho
garche takrar baat-baat mein ho
tu jo jae to is tarah ki kabhi
tera aana bhi mumkinat mein ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.