gham ki is sil ko kabhi bhi na samajh paegi
ġham kī is sil ko kabhī bhī na samajh pā.egī
tū mire dil ko kabhī bhī na samajh pā.egī
mujh ko taslīm tirī saarī zehānat lekin
mujh se jāhil ko kabhī bhī na samajh pā.egī
pūchh le mujh se haqīqat tū vagarna apne
aañkh ke til ko kabhī bhī na samajh pā.egī
bin mohabbat ke tū hañstī huī in āñkhoñ kī
bhīgī jhilmil ko kabhī bhī na samajh pā.egī
zindagī ḳhud bhī tujhe marnā paḌegā varna
mere qātil ko kabhī bhī na samajh pā.egī
gham ki is sil ko kabhi bhi na samajh paegi
tu mere dil ko kabhi bhi na samajh paegi
mujh ko taslim teri sari zehanat lekin
mujh se jahil ko kabhi bhi na samajh paegi
puchh le mujh se haqiqat tu wagarna apne
aankh ke til ko kabhi bhi na samajh paegi
bin mohabbat ke tu hansti hui in aankhon ki
bhigi jhilmil ko kabhi bhi na samajh paegi
zindagi KHud bhi tujhe marna paDega warna
mere qatil ko kabhi bhi na samajh paegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.