gham ki surat liye khaDa kya hai
ġham kī sūrat liye khaḌā kyā hai
mere hamdam tujhe huā kyā hai
jis ne dekhā tujhe huā shaidā
tujh meñ āḳhir ye mājrā kyā hai
dekhūñ jis samt haiñ tire jalve
merī āñkhoñ ko ho gayā kyā hai
ham ko apnī ḳhabar nahīñ kuchh bhī
ham se mil kar bhī fā.eda kyā hai
ye maraz lā-'ilāj hai maanā
dard-e-ulfat kī phir davā kyā hai
gham ki surat liye khaDa kya hai
mere hamdam tujhe hua kya hai
jis ne dekha tujhe hua shaida
tujh mein aaKHir ye majra kya hai
dekhun jis samt hain tere jalwe
meri aankhon ko ho gaya kya hai
hum ko apni KHabar nahin kuchh bhi
hum se mil kar bhi faeda kya hai
ye maraz la-'ilaj hai mana
dard-e-ulfat ki phir dawa kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.