gham ki tabir mein umr sari gai
ġham kī ta.abīr meñ umr saarī ga.ī
is tarah zindagānī sañvārī ga.ī
zulf-o-ruḳhsār kā faiz jaarī rahā
din bitāyā gayā shab guzārī ga.ī
us kī āñkhoñ ke sāġhar bhī chhalke nahīñ
ek arsa huā bāda-ḳhvārī ga.ī
duur mahfil meñ ham se vo baiThe rahe
ḳhuub izzat hamārī utārī ga.ī
zindagī-bhar 'shafīq' is kā mātam rahā
de ke dhokā jo bād-e-bahārī ga.ī
gham ki tabir mein umr sari gai
is tarah zindagani sanwari gai
zulf-o-ruKHsar ka faiz jari raha
din bitaya gaya shab guzari gai
us ki aankhon ke saghar bhi chhalke nahin
ek arsa hua baada-KHwari gai
dur mahfil mein hum se wo baiThe rahe
KHub izzat hamari utari gai
zindagi-bhar 'shafiq' is ka matam raha
de ke dhoka jo baad-e-bahaari gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.