gham ki taswir ban gaya hun main
ġham kī tasvīr ban gayā huuñ maiñ
ḳhātir-e-dard-āshnā huuñ maiñ
husn huuñ maiñ ki ishq kī tasvīr
be-ḳhudī tujh se pūchhtā huuñ maiñ
aah phir dil kī yaad aa.ī hai
zarre zarre ko dekhtā huuñ maiñ
zabt-e-ġham be-sabab nahīñ 'jazbī'
ḳhalish-e-dil baḌhā rahā huuñ maiñ
gham ki taswir ban gaya hun main
KHatir-e-dard-ashna hun main
husn hun main ki ishq ki taswir
be-KHudi tujh se puchhta hun main
aah phir dil ki yaad aai hai
zarre zarre ko dekhta hun main
zabt-e-gham be-sabab nahin 'jazbi'
KHalish-e-dil baDha raha hun main
- Book : Kulliyat-e-Jazbi (Pg. 21)
- Author : Moin Ahsan Jazbi
- Publication : Sahitya Academy, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.