gham kisi aur ka rona mera
ġham kisī aur kā ronā merā
khel us kā hai khilaunā merā
saarā ghar hai bahū bachchoñ ke liye
merā hissa yahī konā merā
sab yahīñ chhoḌ ke jaanā hogā
oḌhnā hai na bichhaunā merā
maiñ agar huuñ to bhī hāsil kyā hai
is se achchhā nahīñ honā merā
vaqt kī aag burī hotī hai
ko.elā ban gayā sonā merā
aa.ina rang dikhātā hai alag
varna chehra hai salonā merā
gahre paanī meñ utar kar 'ejāz'
dekh dāman na bhigonā merā
gham kisi aur ka rona mera
khel us ka hai khilauna mera
sara ghar hai bahu bachchon ke liye
mera hissa yahi kona mera
sab yahin chhoD ke jaana hoga
oDhna hai na bichhauna mera
main agar hun to bhi hasil kya hai
is se achchha nahin hona mera
waqt ki aag buri hoti hai
koela ban gaya sona mera
aaina rang dikhata hai alag
warna chehra hai salona mera
gahre pani mein utar kar 'ejaz'
dekh daman na bhigona mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.