gham ko apne KHushi banata hun
ġham ko apne ḳhushī banātā huuñ
ashk pī pī ke muskurātā huuñ
jis taraf maiñ nazar uThātā huuñ
us taraf tum hī tum ko paatā huuñ
dil meñ ḳhākoñ pe nā-murādī ke
aas kā rang maiñ jamātā huuñ
apnī taqdīr ke sitāre ko
apne sajdoñ se jagmagātā huuñ
tum bhī ab ye karo na yaad aao
maiñ tumheñ dil se ab bhulātā huuñ
maiñ har ik sāz-e-ġham pe ai 'nashtar'
un kī ulfat ke giit gaatā huuñ
gham ko apne KHushi banata hun
ashk pi pi ke muskuraata hun
jis taraf main nazar uThata hun
us taraf tum hi tum ko pata hun
dil mein KHakon pe na-muradi ke
aas ka rang main jamata hun
apni taqdir ke sitare ko
apne sajdon se jagmagata hun
tum bhi ab ye karo na yaad aao
main tumhein dil se ab bhulata hun
main har ek saz-e-gham pe ai 'nashtar'
un ki ulfat ke git gata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.