gham mein ek lutf-e-shadmani hai
ġham meñ ik lutf-e-shādmānī hai
Thokaroñ meñ bhī kāmrānī hai
sirf ik ishq ġhair-fānī hai
varna har chiiz ānī-jānī hai
jo nahīñ āshnā mohabbat se
dil pe us but kī hukmarānī hai
maut aur zindagī meñ hai ye farq
ik haqīqat hai ik kahānī hai
yaad terī hai ziist kā hāsil
ġham tirā vaj.h-e-shādmānī hai
chashm-e-pur-nam ye merī ḳhāmoshī
dil ke zaḳhmoñ kī tarjumānī hai
kyā burā jo kisī ke kaam aa.e
jaan ik din to ḳhair jaanī hai
jaañ hai aTkī laboñ par ai 'āsī'
chārasāzoñ kī mehrbānī hai
gham mein ek lutf-e-shadmani hai
Thokaron mein bhi kaamrani hai
sirf ek ishq ghair-fani hai
warna har chiz aani-jaani hai
jo nahin aashna mohabbat se
dil pe us but ki hukmarani hai
maut aur zindagi mein hai ye farq
ek haqiqat hai ek kahani hai
yaad teri hai zist ka hasil
gham tera wajh-e-shadmani hai
chashm-e-pur-nam ye meri KHamoshi
dil ke zaKHmon ki tarjumani hai
kya bura jo kisi ke kaam aae
jaan ek din to KHair jaani hai
jaan hai aTki labon par ai 'asi'
chaarasazon ki mehrbani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.