gham nahin go ai falak rutba hai mujhko Khaar ka
ġham nahīñ go ai falak rutba hai mujh ko ḳhaar kā
āftāb ik zard pattā hai mire gulzār kā
zulf ke halqe meñ uljhā sabza gosh-e-yār kā
ho gayā sañg-e-zamurrad ḳhaal chashm-e-mār kā
nāḳhudā hai maut jo dam hai so hai bād-e-murād
azm hai kashtī-e-tan ko bahr-e-hastī yaar kā
ḳhāna-e-zanjīr se misl-e-sadā Dartā huuñ ab
yaad aatā hai kaf-e-pā meñ khaTaknā ḳhaar kā
josh-e-girya ne kiyā hai nā-tavāñ itnā mujhe
TūTnā mumkin nahīñ hai āñsuoñ ke taar kā
khā ga.ī āḳhir mujhe chashm-e-siyāh-e-surmagīñ
zarq qismat ne kiyā hai zañgī ādam-ḳhvār kā
sa.i-e-lā-hāsil mudāvā-e-marīz-e-ishq hai
thāmnā mumkin nahīñ girtī huī dīvār kā
haath qātil kā garebāñ tak pahuñch saktā nahīñ
aur fart-e-shauq hai yaañ zaḳhm dāmn-dār kā
phuul jo hai apne gulshan kā sipar kā phuul hai
har shajar is baaġh meñ laatā hai phal talvār kā
ḳhatt-e-rū-e-yār se iizā uThā.ī hai zi-bas
sabza se hotā hai sadma mere dil ko ḳhaar kā
garche pesh-e-tāq-e-abrū-e-sanam gesū nahīñ
ka.aba par narġha huā hai lashkar-e-kuffār kā
ai sanam terī karanjī aañkh se sābit huā
rañg uḌ jaatā hai rū-e-mardum-e-bīmār kā
yaad meñ terī raqīb-e-rū-siyah jaagā to kyā
martaba aalī na ho ḳhuffāsh-e-shab-bedār kā
us parī-rū ke jo kūche kā guzartā hai ḳhayāl
ban ke jin saaya lipTā hai mujhe dīvār kā
uTh ke dīvār-e-lahad se murde Takrāte haiñ sar
ik qayāmat hai sanam aalam tirī raftār kā
ḳham nadāmat se kiyā mehrāb meñ ka.aba ke sar
gardan-e-zāhid se bojh uTThā na jab zunnār kā
zindagī meñ be-adab hone na de tū ro.ab-e-husn
ḳhaak hai merī pas-az-marg aur dāman yaar kā
ai sanam āshiq se rūposhī nahīñ lāzim tujhe
parda muusā se nahīñ allāh ko dīdār kā
bū-e-gul 'ātish' kahīñ hotī hai mahsūs-e-nazar
iftirā hai roz-e-mahshar yaar ke dīdār kā
gham nahin go ai falak rutba hai mujh ko KHar ka
aaftab ek zard patta hai mere gulzar ka
zulf ke halqe mein uljha sabza gosh-e-yar ka
ho gaya sang-e-zamurrad KHal chashm-e-mar ka
naKHuda hai maut jo dam hai so hai baad-e-murad
azm hai kashti-e-tan ko bahr-e-hasti yar ka
KHana-e-zanjir se misl-e-sada Darta hun ab
yaad aata hai kaf-e-pa mein khaTakna KHar ka
josh-e-girya ne kiya hai na-tawan itna mujhe
TuTna mumkin nahin hai aansuon ke tar ka
kha gai aaKHir mujhe chashm-e-siyah-e-surmagin
zarq qismat ne kiya hai zangi aadam-KHwar ka
sai-e-la-hasil mudawa-e-mariz-e-ishq hai
thamna mumkin nahin girti hui diwar ka
hath qatil ka gareban tak pahunch sakta nahin
aur fart-e-shauq hai yan zaKHm damn-dar ka
phul jo hai apne gulshan ka sipar ka phul hai
har shajar is bagh mein lata hai phal talwar ka
KHatt-e-ru-e-yar se iza uThai hai zi-bas
sabza se hota hai sadma mere dil ko KHar ka
garche pesh-e-taq-e-abru-e-sanam gesu nahin
kaba par nargha hua hai lashkar-e-kuffar ka
ai sanam teri karanji aankh se sabit hua
rang uD jata hai ru-e-mardum-e-bimar ka
yaad mein teri raqib-e-ru-siyah jaga to kya
martaba aali na ho KHuffash-e-shab-bedar ka
us pari-ru ke jo kuche ka guzarta hai KHayal
ban ke jin saya lipTa hai mujhe diwar ka
uTh ke diwar-e-lahad se murde Takraate hain sar
ek qayamat hai sanam aalam teri raftar ka
KHam nadamat se kiya mehrab mein kaba ke sar
gardan-e-zahid se bojh uTTha na jab zunnar ka
zindagi mein be-adab hone na de tu roab-e-husn
KHak hai meri pas-az-marg aur daman yar ka
ai sanam aashiq se ruposhi nahin lazim tujhe
parda musa se nahin allah ko didar ka
bu-e-gul 'atish' kahin hoti hai mahsus-e-nazar
iftira hai roz-e-mahshar yar ke didar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.