Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham-o-KHushi ke agar silsile nahin chalte

Nadeem Farrukh

gham-o-KHushi ke agar silsile nahin chalte

Nadeem Farrukh

MORE BYNadeem Farrukh

    ġham-o-ḳhushī ke agar silsile nahīñ chalte

    to mere saath kabhī hausle nahīñ chalte

    anā ke peḌ pe khilte nahīñ ḳhulūs ke phuul

    zidoñ ke saath kabhī faisle nahīñ chalte

    bas ik nigāh pe umreñ nisār hotī haiñ

    mohabbatoñ ke kabhī silsile nahīñ chalte

    hamāre qadmoñ meñ rahte haiñ rāste lekin

    hamāre saath kabhī marhale nahīñ chalte

    har ek shaḳhs yahāñ mīr-e-kārvāñ ḳhud hai

    isī liye to yahāñ qāfile nahīñ chalte

    gham-o-KHushi ke agar silsile nahin chalte

    to mere sath kabhi hausle nahin chalte

    ana ke peD pe khilte nahin KHulus ke phul

    zidon ke sath kabhi faisle nahin chalte

    bas ek nigah pe umren nisar hoti hain

    mohabbaton ke kabhi silsile nahin chalte

    hamare qadmon mein rahte hain raste lekin

    hamare sath kabhi marhale nahin chalte

    har ek shaKHs yahan mir-e-karwan KHud hai

    isi liye to yahan qafile nahin chalte

    Source :
    • Book : Loban (Pg. 7)
    • Author : Nadeem Farrukh
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now