gham raat-din rahe to KHushi bhi kabhi rahi
ġham rāt-din rahe to ḳhushī bhī kabhī rahī
ik bevafā se apnī baḌī dostī rahī
un se milan kī shaam ghaḌī do-ghaḌī rahī
aur phir jo raat aa.ī to barsoñ khaḌī rahī
shām-e-visāl-e-dard ne jaate hue kahā
kal phir mileñge dost agar zindagī rahī
bastī ujaḌ ga.ī bhī to kīkar hare rahe
dar-band ho ga.e bhī to khiḌkī khulī rahī
'aḳhtar' agarche chāroñ taraf tez dhuup thī
dil par ḳhayāl-e-yār kī shabnam paḌī rahī
gham raat-din rahe to KHushi bhi kabhi rahi
ek bewafa se apni baDi dosti rahi
un se milan ki sham ghaDi do-ghaDi rahi
aur phir jo raat aai to barson khaDi rahi
sham-e-visal-e-dard ne jate hue kaha
kal phir milenge dost agar zindagi rahi
basti ujaD gai bhi to kikar hare rahe
dar-band ho gae bhi to khiDki khuli rahi
'aKHtar' agarche chaaron taraf tez dhup thi
dil par KHayal-e-yar ki shabnam paDi rahi
- Book : siip (Magzin) (Pg. 236)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly))
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.