gham sahen ya KHushi ko pyar karen
ġham saheñ yā ḳhushī ko pyaar kareñ
kaun sī chiiz iḳhtiyār kareñ
ham ba-qaid-e-qafas chaman se duur
kaise andāza-e-bahār kareñ
fasl-e-gul aa ga.ī hai ahl-e-junūñ
phir garebāñ ko taar taar kareñ
kaalī kaalī ghaTā meñ chhā.ī haiñ
aa.iye zikr-e-zulf-e-yār kareñ
dil diyā hai to un ke qadmoñ par
zindagānī ko bhī nisār kareñ
jis meñ shāmil hoñ sab rā.īs-o-ġharīb
aisī mahfil ko bā-vaqār kareñ
anjuman tab kaheñ jab 'anjum' ko
aap apnā sharīk-e-kār kareñ
gham sahen ya KHushi ko pyar karen
kaun si chiz iKHtiyar karen
hum ba-qaid-e-qafas chaman se dur
kaise andaza-e-bahaar karen
fasl-e-gul aa gai hai ahl-e-junun
phir gareban ko tar tar karen
kali kali ghaTa mein chhai hain
aaiye zikr-e-zulf-e-yar karen
dil diya hai to un ke qadmon par
zindagani ko bhi nisar karen
jis mein shamil hon sab rais-o-gharib
aisi mahfil ko ba-waqar karen
anjuman tab kahen jab 'anjum' ko
aap apna sharik-e-kar karen
- Book : Tabshii.n (Pg. 55)
- Author : Aqeel ahmed
- Publication : Anjum Siddique (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.