gham se bahal rahe hain aap aap bahut ajib hain
ġham se bahal rahe haiñ aap aap bahut ajiib haiñ
dard meñ Dhal rahe haiñ aap aap bahut ajiib haiñ
sāya-e-vasl kab se hai aap kā muntazir magar
hijr meñ jal rahe haiñ aap aap bahut ajiib haiñ
apne ḳhilāf faisla ḳhud hī likhā hai aap ne
haath bhī mal rahe haiñ aap aap bahut ajiib haiñ
vaqt ne aarzū kī lau der huī bujhā bhī dī
ab bhī pighal rahe haiñ aap aap bahut ajiib haiñ
dā.era-vār hī to haiñ ishq ke rāste tamām
raah badal rahe haiñ aap aap bahut ajiib haiñ
apnī talāsh kā safar ḳhatm bhī kījiye kabhī
ḳhvāb meñ chal rahe haiñ aap aap bahut ajiib haiñ
gham se bahal rahe hain aap aap bahut ajib hain
dard mein Dhal rahe hain aap aap bahut ajib hain
saya-e-wasl kab se hai aap ka muntazir magar
hijr mein jal rahe hain aap aap bahut ajib hain
apne KHilaf faisla KHud hi likha hai aap ne
hath bhi mal rahe hain aap aap bahut ajib hain
waqt ne aarzu ki lau der hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahe hain aap aap bahut ajib hain
daera-war hi to hain ishq ke raste tamam
rah badal rahe hain aap aap bahut ajib hain
apni talash ka safar KHatm bhi kijiye kabhi
KHwab mein chal rahe hain aap aap bahut ajib hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.