gham thoDa sa kam ho jae
ġham thoḌā sā kam ho jaa.e
dard mirā maddham ho jaa.e
daftar meñ thak jaatā hai dil
shahr meñ tāza-dam ho jaa.e
shāḳheñ mastī meñ lahrā.eñ
harā-bharā mausam ho jaa.e
roz-o-shab jo jhel rahā huuñ
ik ik baat raqam ho jaa.e
jitnā maiñ ḳhush karnā chāhūñ
utnā vo barham ho jaa.e
gham thoDa sa kam ho jae
dard mera maddham ho jae
daftar mein thak jata hai dil
shahr mein taza-dam ho jae
shaKHen masti mein lahraen
hara-bhara mausam ho jae
roz-o-shab jo jhel raha hun
ek ek baat raqam ho jae
jitna main KHush karna chahun
utna wo barham ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.