gham tera aankh ke pani se nikal aaya tha
ġham tirā aañkh ke paanī se nikal aayā thā
dard phir apnī fishānī se nikal aayā thā
us ne hañste hue pūchhā thā sitamgar kā patā
aur tirā naam ravānī se nikal aayā thā
apnī āñkhoñ meñ jahāñ bhar kī udāsī le kar
ek kirdār kahānī se nikal aayā thā
ishq to chāragarī māñgtā hai is liye zaḳhm
ruuh kī resha-davānī se nikal aayā thā
maiñ ne jab us se kahā maiñ bhī to huuñ dekh mujhe
vo mirī yād-dahānī se nikal aayā thā
gham tera aankh ke pani se nikal aaya tha
dard phir apni fishani se nikal aaya tha
us ne hanste hue puchha tha sitamgar ka pata
aur tera nam rawani se nikal aaya tha
apni aankhon mein jahan bhar ki udasi le kar
ek kirdar kahani se nikal aaya tha
ishq to chaaragari mangta hai is liye zaKHm
ruh ki resha-dawani se nikal aaya tha
main ne jab us se kaha main bhi to hun dekh mujhe
wo meri yaad-dahani se nikal aaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.