gham tera gham bhi hai taskin ka paigham bhi hai
ġham tirā ġham bhī hai taskīn kā paiġhām bhī hai
hai agar ishq meñ taklīf to ārām bhī hai
āmad-o-raft kā hai khel-tamāshā saarā
zindagī bhī hai nafas maut kā paiġhām bhī hai
yaad mahdūd nahīñ roza namāzoñ pe faqat
din bhī hai raat bhī hai sub.h bhī hai shaam bhī hai
ye batāte haiñ lifāfe pe hamāre aañsū
jazba-e-ishq meñ Duubā huā paiġhām bhī hai
naam badlā hai 'sadaf' hasb-e-zarūrat maiñ ne
naam ma.abūd-e-ḳhudā hī kī tarah raam bhī hai
gham tera gham bhi hai taskin ka paigham bhi hai
hai agar ishq mein taklif to aaram bhi hai
aamad-o-raft ka hai khel-tamasha sara
zindagi bhi hai nafas maut ka paigham bhi hai
yaad mahdud nahin roza namazon pe faqat
din bhi hai raat bhi hai subh bhi hai sham bhi hai
ye batate hain lifafe pe hamare aansu
jazba-e-ishq mein Duba hua paigham bhi hai
nam badla hai 'sadaf' hasb-e-zarurat main ne
nam mabud-e-KHuda hi ki tarah ram bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.