gham ye nahin ki gham se mulaqat hui
ġham ye nahīñ ki ġham se mulāqāt huī
ġham hai ki rāh-e-ġham meñ ḳhurāfāt ho ga.ī
maiñ ehtimām-e-majlis-e-ādāb meñ rahā
kyuuñ log uTh ga.e haiñ ye kyā baat ho ga.ī
māhaul jab tamāzat-e-ḳhurshīd meñ huā
rut jaane kyuuñ badal ga.ī barsāt ho ga.ī
vo vāqi.a jo ruuh kī gahrā.iyoñ meñ thā
vo baat ab to nazr-e-hikāyāt ho ga.ī
tanhā thī merī sāda-ravī sū-e-zindagī
phir saath mere gardish-e-hālāt ho ga.ī
maiñ fart-e-ehtiyāt se guzrā magar 'atīq'
us par nigāh az-rah-e-ādāt ho ga.ī
gham ye nahin ki gham se mulaqat hui
gham hai ki rah-e-gham mein KHurafat ho gai
main ehtimam-e-majlis-e-adab mein raha
kyun log uTh gae hain ye kya baat ho gai
mahaul jab tamazat-e-KHurshid mein hua
rut jaane kyun badal gai barsat ho gai
wo waqia jo ruh ki gahraiyon mein tha
wo baat ab to nazr-e-hikayat ho gai
tanha thi meri sada-rawi su-e-zindagi
phir sath mere gardish-e-haalat ho gai
main fart-e-ehtiyat se guzra magar 'atiq'
us par nigah az-rah-e-adat ho gai
- Book : Hare-o-Nawa (Pg. 76)
- Author : Ateeq Asar
- Publication : Mohd Brothers (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.