gham-zada kitna hamare zehn ka saya raha
ġham-zada kitnā hamāre zehn kā saaya rahā
sang-zār-e-fikr-o-fan se ḳhud ko Takrātā rahā
maiñ tafakkur ke añdhere ġhaar meñ baiThā rahā
paas mere vāhimoñ ke sher kā Derā rahā
hirs ke ḳhurshīd kī aisī pazīrā.ī huī
azmatoñ ke āsmāñ kā rang phīkā sā rahā
lafz kī bārish meñ saarī raushnā.ī dhul ga.ī
vaqt kā qirtās pahle kī tarah saada rahā
haT ke mehvar se ḳhalā meñ kitne taare gum hue
gardishoñ meñ āgahī kā ek sayyāra rahā
zindagī kī zahr-nākī ḳhatm ho jaatī magar
ḳhvāhishoñ ke naag se maiñ ḳhud ko Dasvātā rahā
ham ne 'jāmī' ghar ke andar āfiyat mahsūs kī
ḳhauf kā saaya pas-e-dīvār lahrātā rahā
gham-zada kitna hamare zehn ka saya raha
sang-zar-e-fikr-o-fan se KHud ko Takraata raha
main tafakkur ke andhere ghaar mein baiTha raha
pas mere wahimon ke sher ka Dera raha
hirs ke KHurshid ki aisi pazirai hui
azmaton ke aasman ka rang phika sa raha
lafz ki barish mein sari raushnai dhul gai
waqt ka qirtas pahle ki tarah sada raha
haT ke mehwar se KHala mein kitne tare gum hue
gardishon mein aagahi ka ek sayyara raha
zindagi ki zahr-naki KHatm ho jati magar
KHwahishon ke nag se main KHud ko Daswata raha
hum ne 'jami' ghar ke andar aafiyat mahsus ki
KHauf ka saya pas-e-diwar lahraata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.