gham-zada zindagi hamari hai
ġham-zada zindagī hamārī hai
chāhe duniyā bahut hī pyārī hai
tum nahīñ mānte to mat maano
merī har saañs bas tumhārī hai
chhoḌ kar aise vo ga.e ham ko
kyā jiyeñge ki vaar kaarī hai
jo sahā maiñ ne vo sahoge tum
vaqt kī bhī to ek baarī hai
bas sañbhalnā qadam qadam hogā
zindagī ek rāzdārī hai
ab tire hijr kā 'sabā' har vaqt
merī āñkhoñ se ḳhuun jaarī hai
gham-zada zindagi hamari hai
chahe duniya bahut hi pyari hai
tum nahin mante to mat mano
meri har sans bas tumhaari hai
chhoD kar aise wo gae hum ko
kya jiyenge ki war kari hai
jo saha main ne wo sahoge tum
waqt ki bhi to ek bari hai
bas sanbhalna qadam qadam hoga
zindagi ek raazdari hai
ab tere hijr ka 'saba' har waqt
meri aankhon se KHun jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.