gham-zada zindagi rahi na rahi
ġham-zada zindagī rahī na rahī
ḳhush rahe ham ḳhushī rahī na rahī
zindagī kī hasīn rāhoñ meñ
chhāñv ThanDī kabhī rahī na rahī
chāñd-tāroñ meñ zindagī kaaTī
aap ko yaad bhī rahī na rahī
rāh-e-mastī meñ vo charāġh mile
jal ga.e raushnī rahī na rahī
jab koī raah par lagā hī nahīñ
rahbarī rahbarī rahī na rahī
rah ga.ī baat aap kī chaliye
merī vaq.at rahī rahī na rahī
de ke ummīd pūchhte haiñ mujhe
dil meñ hasrat koī rahī na rahī
umr guzrī gunāh-gārī meñ
fikr anjām kī rahī na rahī
apne markaz pe aa gayā huuñ 'harī'
ġham nahīñ zindagī rahī na rahī
gham-zada zindagi rahi na rahi
KHush rahe hum KHushi rahi na rahi
zindagi ki hasin rahon mein
chhanw ThanDi kabhi rahi na rahi
chand-taron mein zindagi kaTi
aap ko yaad bhi rahi na rahi
rah-e-masti mein wo charagh mile
jal gae raushni rahi na rahi
jab koi rah par laga hi nahin
rahbari rahbari rahi na rahi
rah gai baat aap ki chaliye
meri waqat rahi rahi na rahi
de ke ummid puchhte hain mujhe
dil mein hasrat koi rahi na rahi
umr guzri gunah-gari mein
fikr anjam ki rahi na rahi
apne markaz pe aa gaya hun 'hari'
gham nahin zindagi rahi na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.