ghamon ke zaKHm uThate rahe KHushi ke liye
ġhamoñ ke zaḳhm uThāte rahe ḳhushī ke liye
taras ga.e haiñ mohabbat kī zindagī ke liye
kalī tabassum-e-be-sāḳhta se phuul banī
ye lamha kaafī hai ab puurī zindagī ke liye
ġhurūb-e-mehr pe kis ne lahū chaḌhāyā hai
ye kis ne ḳhuun jalāyā hai raushnī ke liye
ye kaisī dil kī lagī hai ki apnī umr-e-azīz
miTā.e dete haiñ ham ek ajnabī ke liye
ḳhud apne jaisā hī insān zindagī māñge
ye kaisā vaqt-e-ḳhudā.ī hai aadmī ke liye
abhī na toḌo umīd-e-vafā ke phūloñ ko
mujhe to un kā bharosa thā zindagī ke liye
ghamon ke zaKHm uThate rahe KHushi ke liye
taras gae hain mohabbat ki zindagi ke liye
kali tabassum-e-be-saKHta se phul bani
ye lamha kafi hai ab puri zindagi ke liye
ghurub-e-mehr pe kis ne lahu chaDhaya hai
ye kis ne KHun jalaya hai raushni ke liye
ye kaisi dil ki lagi hai ki apni umr-e-aziz
miTae dete hain hum ek ajnabi ke liye
KHud apne jaisa hi insan zindagi mange
ye kaisa waqt-e-KHudai hai aadmi ke liye
abhi na toDo umid-e-wafa ke phulon ko
mujhe to un ka bharosa tha zindagi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.