ghamon ki dhup mein milte hain saeban ban kar
ġhamoñ kī dhuup meñ milte haiñ sā.ebāñ ban kar
zamīñ pe rahte haiñ kuchh log āsmāñ ban kar
uḌe haiñ jo tire qadmoñ se ḳhaak ke zarre
chamak rahe haiñ falak par vo kahkashāñ ban kar
jinheñ nasīb huī hai tire badan kī nasīm
mahak rahe haiñ zamīñ par vo gulsitāñ ban kar
meñ iztirāb ke aalam meñ raqs kartā rahā
kabhī ġhubār kī sūrat kabhī dhuāñ ban kar
mirī sadāoñ ko ab to panāh mil jaa.e
tujhe pukār rahā huuñ tirī zabāñ ban kar
maiñ is zamīn kī vus.at pe sair kartā huuñ
falak ke chāñd sitāroñ kā rāz-dāñ ban kar
masarratoñ kī fazā meñ sadā vo rahte haiñ
jo ġham ke māroñ se milte haiñ mehrbāñ ban kar
unhīñ ko shān-e-chaman ye zamāna kahtā hai
chaman ko luuT rahe haiñ jo bāġhbāñ ban kar
maiñ harf harf jise paḌh chukā huuñ ai 'afzal'
varaq varaq pe vo bikhrā hai dāstāñ ban kar
ghamon ki dhup mein milte hain saeban ban kar
zamin pe rahte hain kuchh log aasman ban kar
uDe hain jo tere qadmon se KHak ke zarre
chamak rahe hain falak par wo kahkashan ban kar
jinhen nasib hui hai tere badan ki nasim
mahak rahe hain zamin par wo gulsitan ban kar
mein iztirab ke aalam mein raqs karta raha
kabhi ghubar ki surat kabhi dhuan ban kar
meri sadaon ko ab to panah mil jae
tujhe pukar raha hun teri zaban ban kar
main is zamin ki wusat pe sair karta hun
falak ke chand sitaron ka raaz-dan ban kar
masarraton ki faza mein sada wo rahte hain
jo gham ke maron se milte hain mehrban ban kar
unhin ko shan-e-chaman ye zamana kahta hai
chaman ko luT rahe hain jo baghban ban kar
main harf harf jise paDh chuka hun ai 'afzal'
waraq waraq pe wo bikhra hai dastan ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.