ghamon ki duniya ko raund Dalen nashat-e-dil paemal kar len
ghamon ki duniya ko raund Dalen nashat-e-dil paemal kar len
Moin Ahsan Jazbi
MORE BYMoin Ahsan Jazbi
ġhamoñ kī duniyā ko rauñd Dāleñ nashāt-e-dil pā.emāl kar leñ
na.ī mohabbat nayā junūñ hai ḳhudāyā kyā apnā haal kar leñ
jo chaar āñkheñ karo to jāneñ nazar milā kar hañso to jāneñ
qasam tumhārī agar na tum ko sharīk-e-ranj-o-malāl kar leñ
'ajīb armāñ 'ajīb hasrat 'ajīb ḳhvāhish 'ajīb vahshat
ki ban paḌe to unheñ bhī apnī tarah sarāpā malāl kar leñ
vo ek lamha vo ek sā'at huā thā jab un se ahd-e-ulfat
use bhī kyā ai ḳhudā-e-rahmat sharīk-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl kar leñ
ghamon ki duniya ko raund Dalen nashat-e-dil paemal kar len
nai mohabbat naya junun hai KHudaya kya apna haal kar len
jo chaar aankhen karo to jaanen nazar mila kar hanso to jaanen
qasam tumhaari agar na tum ko sharik-e-ranj-o-malal kar len
'ajib arman 'ajib hasrat 'ajib KHwahish 'ajib wahshat
ki ban paDe to unhen bhi apni tarah sarapa malal kar len
wo ek lamha wo ek sa'at hua tha jab un se ahd-e-ulfat
use bhi kya ai KHuda-e-rahmat sharik-e-KHwab-o-KHayal kar len
- Book : Kulliyat-e-Jazbi (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.