ghamon ko ham-safar apna banana chhoD dete hain
ghamon ko ham-safar apna banana chhoD dete hain
Ritesh Singh Rahil
MORE BYRitesh Singh Rahil
ġhamoñ ko ham-safar apnā banānā chhoḌ dete haiñ
rifāqat ham ko hai hāsil jatānā chhoḌ dete haiñ
baḌī uljhan meñ rahtā hai jo ham se ishq kartā hai
to ab kī baar se dil ko lagānā chhoḌ dete haiñ
likhe haiñ ishq kī dhun par hiqārat ke sabhī naġhme
nahīñ jaa.ez ye ab sach ko chhupānā chhoḌ dete haiñ
binā ġhalatī kiye koī kyuuñ ḳhud se ruuTh jaatā hai
mirī fitrat hai ye ab har bahāna chhoḌ dete haiñ
haqīqat jaan lo ye phir ġhamoñ se rābta rakhnā
ye banjāre haiñ ye aksar Thikānā chhoḌ dete haiñ
mirī ġhazloñ se hotī hai mirī pahchān gar to ab
maiñ huuñ nākām ye sab ko batānā chhoḌ dete haiñ
ghamon ko ham-safar apna banana chhoD dete hain
rifaqat hum ko hai hasil jatana chhoD dete hain
baDi uljhan mein rahta hai jo hum se ishq karta hai
to ab ki bar se dil ko lagana chhoD dete hain
likhe hain ishq ki dhun par hiqarat ke sabhi naghme
nahin jaez ye ab sach ko chhupana chhoD dete hain
bina ghalati kiye koi kyun KHud se ruTh jata hai
meri fitrat hai ye ab har bahana chhoD dete hain
haqiqat jaan lo ye phir ghamon se rabta rakhna
ye banjare hain ye aksar Thikana chhoD dete hain
meri ghazlon se hoti hai meri pahchan gar to ab
main hun nakaam ye sab ko batana chhoD dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.