ghamon mein Dhaal gaya lauT kar nahin aata
ġhamoñ meñ Dhaal gayā lauT kar nahīñ aatā
jo pichhle saal gayā lauT kar nahīñ aayā
bichhaḌ gayā hai vo ḳhushiyāñ sameT kar aur ġham
mujhe sambhāl gayā lauT kar nahīñ aayā
ajab tilism hai us kī hasīn āñkhoñ meñ
udhar ḳhayāl gayā lauT kar nahīñ aayā
maiñ ḳhud bhī soch meñ gum huuñ ki tere aane se
kidhar malāl gayā lauT kar nahīñ aayā
ajiib shaḳhs thā khiñch kar salīb-e-vaqt pe vo
hameñ ujaal gayā lauT kar nahīñ aayā
kaTā vo shahr se phir jab tirī galī se kaTā
shikasta haal gayā lauT kar nahīñ aayā
sitam-zarīf rivājoñ kī oT meñ ai 'ayāz'
mirā hilāl gayā lauT kar nahīñ aayā
ghamon mein Dhaal gaya lauT kar nahin aata
jo pichhle sal gaya lauT kar nahin aaya
bichhaD gaya hai wo KHushiyan sameT kar aur gham
mujhe sambhaal gaya lauT kar nahin aaya
ajab tilism hai us ki hasin aankhon mein
udhar KHayal gaya lauT kar nahin aaya
main KHud bhi soch mein gum hun ki tere aane se
kidhar malal gaya lauT kar nahin aaya
ajib shaKHs tha khinch kar salib-e-waqt pe wo
hamein ujal gaya lauT kar nahin aaya
kaTa wo shahr se phir jab teri gali se kaTa
shikasta haal gaya lauT kar nahin aaya
sitam-zarif riwajon ki oT mein ai 'ayaz'
mera hilal gaya lauT kar nahin aaya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 586)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.