ghamon se apne koi shaKHs chur hota hai
ġhamoñ se apne koī shaḳhs chuur hotā hai
kisī ke dil meñ ḳhushī kā ġhurūr hotā hai
baḌe jatan se kisī ko bhulā diyā ham ne
baḌe jatan se ye sahrā ubuur hotā hai
kisī kī koī duā bhī na ho sakī puurī
kisī kisī kī duāoñ meñ nuur hotā hai
kisī kī dūriyāñ dil ko satā satā māreñ
qarīb rah ke koī shaḳhs duur hotā hai
jahāñ meñ nāmvaroñ ke azaab kyā kahiye
zarā sī baat kā charchā zarūr hotā hai
ghamon se apne koi shaKHs chur hota hai
kisi ke dil mein KHushi ka ghurur hota hai
baDe jatan se kisi ko bhula diya hum ne
baDe jatan se ye sahra ubur hota hai
kisi ki koi dua bhi na ho saki puri
kisi kisi ki duaon mein nur hota hai
kisi ki duriyan dil ko sata sata maren
qarib rah ke koi shaKHs dur hota hai
jahan mein namwaron ke azab kya kahiye
zara si baat ka charcha zarur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.