Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ganwai kis ki tamanna mein zindagi maine

Jaun Eliya

ganwai kis ki tamanna mein zindagi maine

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    gañvā.ī kis tamannā meñ zindagī maiñ ne

    vo kaun hai jise dekhā nahīñ kabhī maiñ ne

    tirā ḳhayāl to hai par tirā vajūd nahīñ

    tire liye to ye mahfil sajā.ī thī maiñ ne

    tire adam ko gavārā na thā vajūd mirā

    so apnī beḳh-kunī kamī na maiñ ne

    haiñ merī zaat se mansūb sad fasāna-e-ishq

    aur ek satr bhī ab tak nahīñ likhī maiñ ne

    ḳhud apne ishva-o-andāz shahīd huuñ maiñ

    ḳhud apnī zaat se bartī hai be-ruḳhī maiñ ne

    mire harīf mirī yakka-tāzīyoñ pe nisār

    tamām umr halīfoñ se jañg maiñ ne

    ḳharāsh-e-naġhma se siina chhilā huā hai mirā

    fuġhāñ ki tark na naġhma-parvarī maiñ ne

    davā se fā.eda maqsūd thā kab ki faqat

    davā ke shauq meñ sehat tabāh maiñ ne

    zabāna-zan thā jigar-soz tishnagī azaab

    so jauf-e-sīna meñ dozaḳh uñDel maiñ ne

    surūr-e-mai pe bhī ġhālib rahā shu.ūr mirā

    ki har ri.āyat-e-ġham zehn meñ rakhī maiñ ne

    ġham-e-shu.ūr koī dam to mujh ko mohlat de

    tamām-umr jalāyā hai apnā maiñ ne

    ilaaj ye hai ki majbūr kar diyā jā.ūñ

    vagarna yuuñ to kisī nahīñ sunī maiñ ne

    rahā maiñ shāhid-e-tanhā nashīn-e-masnad-e-ġham

    aur apne karb-e-anā se ġharaz rakhī maiñ ne

    ganwai kis ki tamanna mein zindagi main ne

    wo kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne

    tera KHayal to hai par tera wajud nahin

    tere liye to ye mahfil sajai thi main ne

    tere adam ko gawara na tha wajud mera

    so apni beKH-kuni ki kami na ki main ne

    hain meri zat se mansub sad fasana-e-ishq

    aur ek satr bhi ab tak nahin likhi main ne

    KHud apne ishwa-o-andaz ka shahid hun main

    KHud apni zat se barti hai be-ruKHi main ne

    mere harif meri yakka-taziyon pe nisar

    tamam umr halifon se jang ki main ne

    KHarash-e-naghma se sina chhila hua hai mera

    fughan ki tark na ki naghma-parwari main ne

    dawa se faeda maqsud tha hi kab ki faqat

    dawa ke shauq mein sehat tabah ki main ne

    zabana-zan tha jigar-soz tishnagi ka azab

    so jauf-e-sina mein dozaKH unDel li main ne

    surur-e-mai pe bhi ghaalib raha shuur mera

    ki har riayat-e-gham zehn mein rakhi main ne

    gham-e-shuur koi dam to mujh ko mohlat de

    tamam-umr jalaya hai apna ji main ne

    ilaj ye hai ki majbur kar diya jaun

    wagarna yun to kisi ki nahin suni main ne

    raha main shahid-e-tanha nashin-e-masnad-e-gham

    aur apne karb-e-ana se gharaz rakhi main ne

    Source :
    • Shayad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now