gar ghair ke ghar se na dil-aram nikalta
gar ġhair ke ghar se na dil-ārām nikaltā
dam kaahe ko yuuñ ai dil-e-nākām nikaltā
maiñ vahm se martā huuñ vahāñ ro.ab se us ke
qāsid kī zabāñ se nahīñ paiġhām nikaltā
karte jo mujhe yaad shab-e-vasl adū tum
kyā sub.h ki ḳhurshīd na tā-shām nikaltā
jab jānte tāsīr ki dushman bhī vahāñ se
apnī tarah ai gardish-e-ayyām nikaltā
har ek se us bazm meñ shab pūchhte the naam
thā lutf jo koī mirā hamnām nikaltā
kyuuñ kaam talab hai mire āzār se gardūñ
nākām se dekhā hai kahīñ kaam nikaltā
thī nauha-zanī dil ke janāze pe zarūrī
shāyad ki vo ghabrā ke sar-e-bām nikaltā
kāñTā sā khaTaktā hai kaleje meñ ġham-e-hijr
ye ḳhaar nahīñ dil se gul-andām nikaltā
hūreñ nahīñ 'momin' ke nasīboñ meñ jo hotīñ
but-ḳhāne hī se kyuuñ ye bad-anjām nikaltā
gar ghair ke ghar se na dil-aram nikalta
dam kahe ko yun ai dil-e-nakaam nikalta
main wahm se marta hun wahan roab se us ke
qasid ki zaban se nahin paigham nikalta
karte jo mujhe yaad shab-e-wasl adu tum
kya subh ki KHurshid na ta-sham nikalta
jab jaante tasir ki dushman bhi wahan se
apni tarah ai gardish-e-ayyam nikalta
har ek se us bazm mein shab puchhte the nam
tha lutf jo koi mera hamnam nikalta
kyun kaam talab hai mere aazar se gardun
nakaam se dekha hai kahin kaam nikalta
thi nauha-zani dil ke janaze pe zaruri
shayad ki wo ghabra ke sar-e-baam nikalta
kanTa sa khaTakta hai kaleje mein gham-e-hijr
ye KHar nahin dil se gul-andam nikalta
huren nahin 'momin' ke nasibon mein jo hotin
but-KHane hi se kyun ye bad-anjam nikalta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.