gar hadd-e-did se guzar jaen
gar hadd-e-dīd se guzar jaa.eñ
aa.ine aañkh meñ utar jaa.eñ
tez-raftār ḳhvāhish-e-parvāz
saath kis tarah bāl-o-par jaa.eñ
jo yahāñ bām-o-dar kī ḳhātir the
un ke hamrāh bām-o-dar jaa.eñ
sarhad-e-dard aa ga.ī Thahro
aage ab sāhib-e-nazar jaa.eñ
sarfaroshoñ kī bazm se 'aḳhtar'
tālib-e-umr muḳhtasar jaa.eñ
gar hadd-e-did se guzar jaen
aaine aankh mein utar jaen
tez-raftar KHwahish-e-parwaz
sath kis tarah baal-o-par jaen
jo yahan baam-o-dar ki KHatir the
un ke hamrah baam-o-dar jaen
sarhad-e-dard aa gai Thahro
aage ab sahib-e-nazar jaen
sarfaroshon ki bazm se 'aKHtar'
talib-e-umr muKHtasar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.