gar humne dil sanam ko diya phir kisi ko kya
gar ham ne dil sanam ko diyā phir kisī ko kyā
islām chhoḌ kufr liyā phir kisī ko kyā
kyā jaane kis ke ġham meñ haiñ āñkheñ hamārī laal
ai ham ne go nasha bhī piyā phir kisī ko kyā
aaphī kiyā hai apne girebāñ ko ham ne chaak
aaphī siyā siyā na siyā phir kisī ko kyā
us bevafā ne ham ko agar apne ishq meñ
rusvā kiyā ḳharāb kiyā phir kisī ko kyā
duniyā meñ aa ke ham se burā yā bhalā 'nazīr'
jo kuchh ki ho sakā so kiyā phir kisī ko kyā
gar hum ne dil sanam ko diya phir kisi ko kya
islam chhoD kufr liya phir kisi ko kya
kya jaane kis ke gham mein hain aankhen hamari lal
ai hum ne go nasha bhi piya phir kisi ko kya
aaphi kiya hai apne gireban ko hum ne chaak
aaphi siya siya na siya phir kisi ko kya
us bewafa ne hum ko agar apne ishq mein
ruswa kiya KHarab kiya phir kisi ko kya
duniya mein aa ke hum se bura ya bhala 'nazir'
jo kuchh ki ho saka so kiya phir kisi ko kya
- Book : Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 970 and-145)
- Author : Abdul Bari Aasi
- Publication : Munshi Nawal Kishor, Lucknow
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.