gar ishq hai to dekhne piw ko shitab aa
gar ishq hai to dekhne piv ko shitāb aa
lā-shak ho haq kī rah meñ chalā be-hijāb aa
us husn-e-be-nazīr ke darsan ko dekhne
sab ḳhānumāñ suuñ ho ke apas ke ḳharāb aa
dariyā meñ dil ke ishq suuñ hone ke ta.iiñ muhīt
ḳhālī ho sab ḳhudī suuñ nikal juuñ habāb aa
kyā dekhtā hai sūrat-e-ḳhurshīd aur chandr
har ik nazar meñ dekh hazār āftāb aa
har-dam 'alīm' dil ke nazar ko diyā hai taab
apne karam suuñ qibla-e-vālā janāb aa
gar ishq hai to dekhne piw ko shitab aa
la-shak ho haq ki rah mein chala be-hijab aa
us husn-e-be-nazir ke darsan ko dekhne
sab KHanuman sun ho ke apas ke KHarab aa
dariya mein dil ke ishq sun hone ke tain muhit
KHali ho sab KHudi sun nikal jun habab aa
kya dekhta hai surat-e-KHurshid aur chandr
har ek nazar mein dekh hazar aaftab aa
har-dam 'alim' dil ke nazar ko diya hai tab
apne karam sun qibla-e-wala janab aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.