gar kahun ghair se phir rabt hua tujhko kya
gar kahun ghair se phir rabt hua tujhko kya
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
gar kahūñ ġhair se phir rabt huā tujh ko kyā
kyā burā maan ke kahtā hai bhalā tujh ko kyā
sar uThānā tujhe bālīñ se jo dushvār hai ab
kyuuñ dilā baiThe-biThā.e ye huā tujh ko kyā
pūchhūñ ranjish kā sabab us se to jhuñjhlā ke kahe
''gar ḳhafā huuñ to maiñ huuñ aap ko, jā tujh ko kyā''
ham asīrān-e-qafas kyā kaheñ ḳhāmosh haiñ kyuuñ
raah le apnī chal ai bād-e-sabā tujh ko kyā
gar kiyā us se judā mujh ko to kah de ye falak
mere aur us ke na milne se milā tujh ko kyā
haath uThātā nahīñ gar ishq se maiñ ai nāseh
tū nasīhat se mirī haath uThā tujh ko kyā
gar kaho nām-e-ḳhudā lagte ho tum kyā hī bhale
to ye kahtā hai ''bhalā huuñ to bhalā, tujh ko kyā''
kyuuñ dilā bistar-e-ġham par hai tū ḳhāmosh paḌā
kuchh to kah mujh se kisī ne ye kahā tujh ko kyā
ab vo mauqūf huā nāma-o-paiġhām bhī aah
harf ġhairoñ kā asar kar hī gayā tujh ko kyā
mere milne se kiyā man.a kisī ne jo tujhe
tū ne is baat ko sun kar na kahā tujh ko kyā
paik-e-ashk āñkhoñ se chal nikle jo ḳhat paḌhte hī
'jur.at' ab kuchh tū batā us ne likhā tujh ko kyā
gar kahun ghair se phir rabt hua tujh ko kya
kya bura man ke kahta hai bhala tujh ko kya
sar uThana tujhe baalin se jo dushwar hai ab
kyun dila baiThe-biThae ye hua tujh ko kya
puchhun ranjish ka sabab us se to jhunjhla ke kahe
gar KHafa hun to main hun aap ko, ja tujh ko kya
hum asiran-e-qafas kya kahen KHamosh hain kyun
rah le apni chal ai baad-e-saba tujh ko kya
gar kiya us se juda mujh ko to kah de ye falak
mere aur us ke na milne se mila tujh ko kya
hath uThata nahin gar ishq se main ai naseh
tu nasihat se meri hath uTha tujh ko kya
gar kaho nam-e-KHuda lagte ho tum kya hi bhale
to ye kahta hai bhala hun to bhala, tujh ko kya
kyun dila bistar-e-gham par hai tu KHamosh paDa
kuchh to kah mujh se kisi ne ye kaha tujh ko kya
ab wo mauquf hua nama-o-paigham bhi aah
harf ghairon ka asar kar hi gaya tujh ko kya
mere milne se kiya mana kisi ne jo tujhe
tu ne is baat ko sun kar na kaha tujh ko kya
paik-e-ashk aankhon se chal nikle jo KHat paDhte hi
'jurat' ab kuchh tu bata us ne likha tujh ko kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.