gar mere but-e-hosh-ruba ko nahin dekha
gar mere but-e-hosh-rubā ko nahīñ dekhā
us dekhne vaale ne ḳhudā ko nahīñ dekhā
rahbar se ġharaz kyā hai jo manzil nazar aa.e
ka.abe meñ kahe qibla-numā ko nahīñ dekhā
jis shakl se hañste haiñ mire haal pe ahbāb
rote hue yuuñ ahl-e-azā ko nahīñ dekhā
itnā to batā de mujhe ai nāseh-e-mushfiq
dekhā hai ki us māh-laqā ko nahīñ dekhā
jab 'dāġh' ko DhūñDhā kisī but-ḳhāne meñ paayā
ghar meñ kabhī us mard-e-ḳhudā ko nahīñ dekhā
gar mere but-e-hosh-ruba ko nahin dekha
us dekhne wale ne KHuda ko nahin dekha
rahbar se gharaz kya hai jo manzil nazar aae
kabe mein kahe qibla-numa ko nahin dekha
jis shakl se hanste hain mere haal pe ahbab
rote hue yun ahl-e-aza ko nahin dekha
itna to bata de mujhe ai naseh-e-mushfiq
dekha hai ki us mah-laqa ko nahin dekha
jab 'dagh' ko DhunDha kisi but-KHane mein paya
ghar mein kabhi us mard-e-KHuda ko nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.