gar mujhe sada-dil banaya tha
gar mujhe sāda-dil banāyā thā
to bhalā kyoñ jahāñ meñ laayā thā
vājib-ul-qatl māniye us ko
jis ne lafz-e-vafā banāyā thā
saath ġham bhī to chhoḌ detā hai
be-sabab dil jigar jalāyā thā
sher ye bhuup meñ kyoñ gaane lage
maiñ ne to bhairavī batāyā thā
kal mire ghar meñ merā qatl huā
ḳhush bahut huuñ koī to aayā thā
āḳhirī din ḳhudā ye kahne lage
kis ne tum ko yahāñ bulāyā thā
ab mirī maañ hai bas jo pūchhtī hai
kis ne 'maġhlūb' ko satāyā thā
gar mujhe sada-dil banaya tha
to bhala kyon jahan mein laya tha
wajib-ul-qatl maniye us ko
jis ne lafz-e-wafa banaya tha
sath gham bhi to chhoD deta hai
be-sabab dil jigar jalaya tha
sher ye bhup mein kyon gane lage
main ne to bhairawi bataya tha
kal mere ghar mein mera qatl hua
KHush bahut hun koi to aaya tha
aaKHiri din KHuda ye kahne lage
kis ne tum ko yahan bulaya tha
ab meri man hai bas jo puchhti hai
kis ne 'maghlub' ko sataya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.