gar teri jumbish-e-abru ka ishaara ho jae
gar tirī jumbish-e-abrū kā ishāra ho jaa.e
Dūbte shaḳhs ko tinke kā sahārā ho jaa.e
ham se bad-baḳht ke haq meñ koī taarā ho jaa.e
ain mumkin hai kisī din vo hamārā ho jaa.e
ḳhvāb meñ aa ki ho nīñdoñ pe bharosa bhī koī
yaar milne kā bas ik aise hī chāra ho jaa.e
is se pahle ki tujhe dil se bhulā deñ ham bhī
aur phir terī jagah koī hamārā ho jaa.e
vo jo hāsil na huā ḳhair koī baat nahīñ
vo kisī aur kā ho kaise gavārā ho jaa.e
zindagī niiñd se uTh jaa.e agar jān-e-jahāñ
us ke hoñToñ pe bas ik bosa tumhārā ho jaa.e
hone aa.e to bhalā kyā nahīñ hotā hai yahāñ
chāñd bhī ishq kare aur sitāra ho jaa.e
DhūñDne vaale pareshān bahut haiñ 'adnān'
kyā ye mumkin hai koī vaisā ḳhudārā ho jaa.e
gar teri jumbish-e-abru ka ishaara ho jae
Dubte shaKHs ko tinke ka sahaara ho jae
hum se bad-baKHt ke haq mein koi tara ho jae
ain mumkin hai kisi din wo hamara ho jae
KHwab mein aa ki ho nindon pe bharosa bhi koi
yar milne ka bas ek aise hi chaara ho jae
is se pahle ki tujhe dil se bhula den hum bhi
aur phir teri jagah koi hamara ho jae
wo jo hasil na hua KHair koi baat nahin
wo kisi aur ka ho kaise gawara ho jae
zindagi nind se uTh jae agar jaan-e-jahan
us ke honTon pe bas ek bosa tumhaara ho jae
hone aae to bhala kya nahin hota hai yahan
chand bhi ishq kare aur sitara ho jae
DhunDne wale pareshan bahut hain 'adnan'
kya ye mumkin hai koi waisa KHudara ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.