garche baatil ko na-pasand raha
garche bātil ko nā-pasand rahā
na.ara-e-haq magar buland rahā
jis ne arz-e-niyāz bhī na sunī
dil usī kā niyāz-mand rahā
pī liyā zahr-e-talḳhī-e-ayyām
phir bhī lahja hamārā qand rahā
be-hisī thī mire ta.āqub meñ
is liye maiñ fasīl-band rahā
sar-nigūñ ratjagoñ ko honā paḌā
parcham-e-ḳhvāb sar-buland rahā
kyā mile us se ek baar 'suḳhan'
mauj meñ fikr kā samand rahā
garche baatil ko na-pasand raha
nara-e-haq magar buland raha
jis ne arz-e-niyaz bhi na suni
dil usi ka niyaz-mand raha
pi liya zahr-e-talKHi-e-ayyam
phir bhi lahja hamara qand raha
be-hisi thi mere taaqub mein
is liye main fasil-band raha
sar-nigun ratjagon ko hona paDa
parcham-e-KHwab sar-buland raha
kya mile us se ek bar 'suKHan'
mauj mein fikr ka samand raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.