garche maddham dikhai deta hai
garche maddham dikhā.ī detā hai
us ko tāham dikhā.ī detā hai
vasl ko ḳhvāb jānñe vaale
kyā tujhe kam dikhā.ī detā hai
husn jab se gurez-pā hai zarā
shauq barham dikhā.ī detā hai
raat bhar TūTtā huā taarā
mujh ko paiham dikhā.ī detā hai
'roz' detā hai ek zaḳhm nayā
vo jo marham dikhā.ī detā hai
garche maddham dikhai deta hai
us ko taham dikhai deta hai
wasl ko KHwab jaanne wale
kya tujhe kam dikhai deta hai
husn jab se gurez-pa hai zara
shauq barham dikhai deta hai
raat bhar TuTta hua tara
mujh ko paiham dikhai deta hai
'roz' deta hai ek zaKHm naya
wo jo marham dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.