garche nezon pe sar hai
garche nezoñ pe sar hai
maut to vaqt par hai
kaun patthar uThā.e
ye shajar be-samar hai
ghoñsla zindagī kā
saañs kī shāḳh par hai
koī dushman nahīñ hai
mujh ko apnā hī Dar hai
shak bhī kiije to kis par
vo baḌā mo'tabar hai
zad meñ āñdhī ke aksar
ek merā hī ghar hai
apnī pahchān rakhnā
bhiiḌ har moḌ par hai
mere maulā 'tapish' ko
ishq-e-ḳhair-ul-bashar hai
garche nezon pe sar hai
maut to waqt par hai
kaun patthar uThae
ye shajar be-samar hai
ghonsla zindagi ka
sans ki shaKH par hai
koi dushman nahin hai
mujh ko apna hi Dar hai
shak bhi kije to kis par
wo baDa mo'tabar hai
zad mein aandhi ke aksar
ek mera hi ghar hai
apni pahchan rakhna
bhiD har moD par hai
mere maula 'tapish' ko
ishq-e-KHair-ul-bashar hai
- Book : Mata-e-Aainda (Pg. 10)
- Author : Abdussamad Tapish
- Publication : Abdussamad Tapish (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.