gard-e-majnun le ke shayad baad-e-sahra jae hai
gard-e-majnūñ le ke shāyad bād-e-sahrā jaa.e hai
jaane kis vahshat meñ bastī ko bagūla jaa.e hai
maiñ na kahtā thā ki lāzim hai nigah bhar fāsla
jab bahut nazdīk ho to aks dhundlā jaa.e hai
kyā karūñ ai tishnagī terā mudāvā bas vo lab
jin laboñ ko chhū ke paanī aag bantā jaa.e hai
ḳhauf kā mafhūm pahlī baar samjhā ishq meñ
baat hotī kuchh nahīñ aur jaan ko aa jaa.e hai
le jahāñ ko taj diyā le khīñch Daalī apnī khaal
ab usī me.aar par āshiq ko parkhā jaa.e hai
gard-e-majnun le ke shayad baad-e-sahra jae hai
jaane kis wahshat mein basti ko bagula jae hai
main na kahta tha ki lazim hai nigah bhar fasla
jab bahut nazdik ho to aks dhundla jae hai
kya karun ai tishnagi tera mudawa bas wo lab
jin labon ko chhu ke pani aag banta jae hai
KHauf ka mafhum pahli bar samjha ishq mein
baat hoti kuchh nahin aur jaan ko aa jae hai
le jahan ko taj diya le khinch Dali apni khaal
ab usi mear par aashiq ko parkha jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.