gard ko kuduraton ki dho na pae hum
gard ko kudūratoñ kī dho na paa.e ham
dil bahut udaas hai ki ro na paa.e ham
vujūd ke chahār samt regzār thā
kahīñ bhī ḳhvāhishoñ ke biij bo na paa.e ham
ruuh se to pahle din hī haar maan lī
bojh apne jism kā bhī Dho na paa.e ham
dasht meñ to ek ham the aur kuchh na thā
shahr ke hujūm meñ bhī kho na paa.e ham
ek ḳhvāb dekhne kī aarzū rahī
isī liye tamām 'umr so na paa.e ham
gard ko kuduraton ki dho na pae hum
dil bahut udas hai ki ro na pae hum
wujud ke chahaar samt regzar tha
kahin bhi KHwahishon ke bij bo na pae hum
ruh se to pahle din hi haar man li
bojh apne jism ka bhi Dho na pae hum
dasht mein to ek hum the aur kuchh na tha
shahr ke hujum mein bhi kho na pae hum
ek KHwab dekhne ki aarzu rahi
isi liye tamam 'umr so na pae hum
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 334)
- Author : shaharyar
- Publication : educational book house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.