gardish-e-chashm-e-yar ne mara
gardish-e-chashm-e-yār ne maarā
daur-e-lail-o-nahār ne maarā
mar rahā huuñ magar nahīñ martā
ḳhalish-e-intizār ne maarā
saḳht-jānī mirī jo sun paa.ī
dam na phir teġh-e-yār ne maarā
vasl meñ bhī ye muztarib hī rahā
is dil-e-be-qarār ne maarā
ham to jiite abhī magar 'beḳhud'
sitam-e-rozgār ne maarā
gardish-e-chashm-e-yar ne mara
daur-e-lail-o-nahaar ne mara
mar raha hun magar nahin marta
KHalish-e-intizar ne mara
saKHt-jaani meri jo sun pai
dam na phir tegh-e-yar ne mara
wasl mein bhi ye muztarib hi raha
is dil-e-be-qarar ne mara
hum to jite abhi magar 'beKHud'
sitam-e-rozgar ne mara
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 182)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.