gardish-e-dauran bata kyon tujhko hairani nahin
gardish-e-daurāñ batā kyoñ tujh ko hairānī nahīñ
vaqt guzrā jā rahā hai phir bhī vo faanī nahīñ
jazb ho kar rah gayā hai ek dariyā ret meñ
laakh tūfāñ haiñ vahīñ par ab jahāñ paanī nahīñ
rāste bhaTke hue haiñ manzileñ gumrāh haiñ
ab hujūm-e-kārvāñ ko ḳhauf-e-nākāmī nahīñ
jab jahān-e-āgahī kā har safar hai nā-tamām
ai ḳhirad kyoñ dil kī tū ne ek bhī maanī nahīñ
tere mere darmiyāñ hai ek muddat se 'hijāb'
zindagī sūrat bhī terī jaanī pahchānī nahīñ
gardish-e-dauran bata kyon tujh ko hairani nahin
waqt guzra ja raha hai phir bhi wo fani nahin
jazb ho kar rah gaya hai ek dariya ret mein
lakh tufan hain wahin par ab jahan pani nahin
raste bhaTke hue hain manzilen gumrah hain
ab hujum-e-karwan ko KHauf-e-nakaami nahin
jab jahan-e-agahi ka har safar hai na-tamam
ai KHirad kyon dil ki tu ne ek bhi mani nahin
tere mere darmiyan hai ek muddat se 'hijab'
zindagi surat bhi teri jaani pahchani nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.