gardish-e-saghar subu ke darmiyan
gardish-e-sāġhar subū ke darmiyāñ
zindagī hai hāo-hū ke darmiyāñ
zaḳhm aur poshāk bhī rakkhe ga.e
aa.ina aur āb-jū ke darmiyāñ
tīsrā rasta kidhar ko jaa.e hai
aarzū aur justujū ke darmiyāñ
kitnī be-ma.anī sī hai ye zindagī
ḳhāmoshī aur guftugū ke darmiyāñ
zindagī tarjīh kis ko detī hai
sabz-rū aur ḳhush-gulū ke darmiyāñ
yaad kī ik ajnabī parchhā.īñ hai
rañg-o-bū-o-kāḳh-o-kū ke darmiyāñ
vaqt se bach kar nikal jā.ūñ kahīñ
ek dar hai chaar sū ke darmiyāñ
merā chehra dūsroñ se muḳhtalif
farq hai kyā ye lahū ke darmiyāñ
gardish-e-saghar subu ke darmiyan
zindagi hai hao-hu ke darmiyan
zaKHm aur poshak bhi rakkhe gae
aaina aur aab-ju ke darmiyan
tisra rasta kidhar ko jae hai
aarzu aur justuju ke darmiyan
kitni be-mani si hai ye zindagi
KHamoshi aur guftugu ke darmiyan
zindagi tarjih kis ko deti hai
sabz-ru aur KHush-gulu ke darmiyan
yaad ki ek ajnabi parchhain hai
rang-o-bu-o-kaKH-o-ku ke darmiyan
waqt se bach kar nikal jaun kahin
ek dar hai chaar su ke darmiyan
mera chehra dusron se muKHtalif
farq hai kya ye lahu ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.