gardish-e-waqt se laDna hai jhagaDna hai abhi
gardish-e-vaqt se laḌnā hai jhagaḌnā hai abhī
chaḌhte sūraj haiñ hameñ aur ubharnā hai abhī
hausle dūrī-e-manzil se na thak jaa.eñ kahīñ
kitnī pur-ḳhār sī rāhoñ se guzarnā hai abhī
nok-e-mizhgāñ pe utar aa.e haiñ aañsū aise
abr-e-bārāñ kī tarah jaise barasnā hai abhī
us ko ḳhvāboñ meñ basā rakkhā hai ḳhushbū kī tarah
aur ta.abīr talak us ko Thaharnā hai abhī
Thokareñ ham ko sambhalne kā sabaq detī hai
bārhā tum ko 'sadaf' girnā sambhalnā hai abhī
gardish-e-waqt se laDna hai jhagaDna hai abhi
chaDhte suraj hain hamein aur ubharna hai abhi
hausle duri-e-manzil se na thak jaen kahin
kitni pur-KHar si rahon se guzarna hai abhi
nok-e-mizhgan pe utar aae hain aansu aise
abr-e-baran ki tarah jaise barasna hai abhi
us ko KHwabon mein basa rakkha hai KHushbu ki tarah
aur tabir talak us ko Thaharna hai abhi
Thokaren hum ko sambhalne ka sabaq deti hai
barha tum ko 'sadaf' girna sambhalna hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.