Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gardishon ke hain mare hue na dushmanon ke satae hue hain

Nasir Nizami

gardishon ke hain mare hue na dushmanon ke satae hue hain

Nasir Nizami

MORE BYNasir Nizami

    gardishoñ ke haiñ maare hue na dushmanoñ ke satā.e hue haiñ

    jitne bhī zaḳhm haiñ mere dil par dostoñ ke lagā.e hue haiñ

    jab se dekhā tirā qadd-o-qāmat dil pe TuuTī huī hai qayāmat

    har balā se rahe salāmat din javānī ke aa.e hue haiñ

    aur de mujh ko de aur saaqī hosh rahtā hai thoḌā baaqī

    aaj talḳhī bhī hai intihā aaj vo bhī parā.e hue haiñ

    kal the ābād pahlū meñ mere ab haiñ ġhairoñ mahfil meñ Dere

    merī mahfil meñ kar ke añdhere apnī mahfil sajā.e hue haiñ

    apne hāthoñ se ḳhanjar chalā kar kitnā ma.asūm chehra banā kar

    apne kāñdhoñ pe ab mere qātil merī mayyat uThā.e hue haiñ

    mah-vashoñ ko vafā se kyā matlab in butoñ ko ḳhudā se kyā matlab

    un ma.asūm nazroñ ne 'nāsir' log pāgal banā.e hue haiñ

    gardishon ke hain mare hue na dushmanon ke satae hue hain

    jitne bhi zaKHm hain mere dil par doston ke lagae hue hain

    jab se dekha tera qadd-o-qamat dil pe TuTi hui hai qayamat

    har bala se rahe tu salamat din jawani ke aae hue hain

    aur de mujh ko de aur saqi hosh rahta hai thoDa sa baqi

    aaj talKHi bhi hai intiha ki aaj wo bhi parae hue hain

    kal the aabaad pahlu mein mere ab hain ghairon ki mahfil mein Dere

    meri mahfil mein kar ke andhere apni mahfil sajae hue hain

    apne hathon se KHanjar chala kar kitna masum chehra bana kar

    apne kandhon pe ab mere qatil meri mayyat uThae hue hain

    mah-washon ko wafa se kya matlab in buton ko KHuda se kya matlab

    un ki masum nazron ne 'nasir' log pagal banae hue hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now