gareban chaak karne se hamein fursat bhi milti hai
garebāñ chaak karne se hameñ fursat bhī miltī hai
rahe tū mehrbāñ to ilm kī daulat bhī miltī hai
ḳhudā rakkhe tujhe ai shā.irī terī badaulat hī
hameñ izzat bhī miltī hai hameñ shohrat bhī miltī hai
dar-e-jānāñ ko ham ne is liye ab tak nahīñ chhoḌā
jahāñ kuchh ranj miltā hai vahīñ rāhat bhī miltī hai
ibādat se faqat ḳhush-nūdī-e-maulā nahīñ miltī
sitam-gar tujh se laḌne kī hameñ himmat bhī miltī hai
ġhalat aa.e to hoñToñ par tabassum DhūñDne vaalo
yahāñ aañsū bahāne se kabhī mohlat bhī miltī hai
bahut hī soch kar apne qadam rakhnā ḳhirad vaalo
ye rāh-e-ishq hai is raah meñ vahshat bhī miltī hai
salāmat hai agar īmān ai 'tashna' yaqīñ kar lo
ki jis par naaz hai rizvāñ ko vo jannat bhī miltī hai
gareban chaak karne se hamein fursat bhi milti hai
rahe tu mehrban to ilm ki daulat bhi milti hai
KHuda rakkhe tujhe ai shairi teri badaulat hi
hamein izzat bhi milti hai hamein shohrat bhi milti hai
dar-e-jaanan ko hum ne is liye ab tak nahin chhoDa
jahan kuchh ranj milta hai wahin rahat bhi milti hai
ibaadat se faqat KHush-nudi-e-maula nahin milti
sitam-gar tujh se laDne ki hamein himmat bhi milti hai
ghalat aae to honTon par tabassum DhunDne walo
yahan aansu bahane se kabhi mohlat bhi milti hai
bahut hi soch kar apne qadam rakhna KHirad walo
ye rah-e-ishq hai is rah mein wahshat bhi milti hai
salamat hai agar iman ai 'tashna' yaqin kar lo
ki jis par naz hai rizwan ko wo jannat bhi milti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.