garebāñ ko junūñ meñ tā-ba-dāman chaak honā thā
javāb-e-jāda-e-sahrā-e-vahshat-nāk honā thā
taġhāful ke gile sun kar jhukā liiñ tum ne kyoñ āñkheñ
mire sharminda karne ko zarā bebāk honā thā
nigāh-e-garm kī bijlī se jalnā thā muqaddar meñ
kisī ko aag honā thā kisī ko ḳhaak honā thā
jo āñkheñ pūchhtīñ us kī to dil merā batā detā
yahāñ sharmā ke jhuknā thā yahāñ bebāk honā thā
taḌap dil kī dikhānā thā 'jalāl' un shoḳh-chashmoñ ko
vahīñ kī baḳht ne sustī jahāñ chālāk honā thā
gareban ko junun mein ta-ba-daman chaak hona tha
jawab-e-jada-e-sahra-e-wahshat-nak hona tha
taghaful ke gile sun kar jhuka lin tum ne kyon aankhen
mere sharminda karne ko zara bebak hona tha
nigah-e-garm ki bijli se jalna tha muqaddar mein
kisi ko aag hona tha kisi ko KHak hona tha
jo aankhen puchhtin us ki to dil mera bata deta
yahan sharma ke jhukna tha yahan bebak hona tha
taDap dil ki dikhana tha 'jalal' un shoKH-chashmon ko
wahin ki baKHt ne susti jahan chaalak hona tha
Source :
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 42)
-
Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا
(2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.