gharib aadmi ko ThaT padshahi ka
ġharīb aadmī ko ThaaT pādshāhī kā
ye pesh-ḳhema hai zālim tirī tabāhī kā
ḳhadañg-e-āh ko roke rahā huuñ furqat meñ
ḳhayāl hai mujhe aflāk kī tabāhī kā
umiid kaise ho mahshar meñ surḳh-rūī kī
hamesha kaam kiyā ho jo rū-siyāhī kā
salām tak nahīñ lete kalām to kaisā
faqīrī meñ bhī tabaḳhtūr hai bādshāhī kā
shikast-o-fat.h kā zimma nahīñ dil-e-nādāñ
laḌe hazār meñ ye kaam hai sipāhī kā
ḳhizāb karte haiñ duniyā se jab ga.e guzre
shugūn karte haiñ piirī meñ rū-siyāhī kā
na āsmāñ kī ināyat na mehrbāñ vo shoḳh
na pūchho haal ġharīboñ kī be-panāhī kā
safed bāloñ pe kis vāste ḳhizāb lagā.eñ
gayā zamāna javānī meñ rū-siyāhī kā
ḳhatā.eñ ho ga.iiñ ma.adūm haj se ai 'parvīñ'
gavāh ḳhud hai ḳhudā merī be-gunāhī kā
gharib aadmi ko ThaT padshahi ka
ye pesh-KHema hai zalim teri tabahi ka
KHadang-e-ah ko roke raha hun furqat mein
KHayal hai mujhe aflak ki tabahi ka
umid kaise ho mahshar mein surKH-rui ki
hamesha kaam kiya ho jo ru-siyahi ka
salam tak nahin lete kalam to kaisa
faqiri mein bhi tabaKHtur hai baadshahi ka
shikast-o-fath ka zimma nahin dil-e-nadan
laDe hazar mein ye kaam hai sipahi ka
KHizab karte hain duniya se jab gae guzre
shugun karte hain piri mein ru-siyahi ka
na aasman ki inayat na mehrban wo shoKH
na puchho haal gharibon ki be-panahi ka
safed baalon pe kis waste KHizab lagaen
gaya zamana jawani mein ru-siyahi ka
KHataen ho gain madum haj se ai 'parwin'
gawah KHud hai KHuda meri be-gunahi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.